Sunday, October 5, 2014

JRT mein Prarambhik Salary Rs 35000/- Se Jyada Milegee

JRT mein Prarambhik Salary Rs 35000/- Se Jyada Milegee

JRT mein Pay Scale Aapko 17140/- se Start Hogaa.
6th Pay Commission Ka Rule Hai ki Jab Bhee 4600 Grade Pay Mein Direct Entry Hotee hai to Pay Scale 17140/- se Start Hotaa hai.

Promotion Vaale Is Mudde Par Lad Rahe The Ki Unko Bhee 4600/- grade pay hone par 17140/- Vetanmaan Nyuntam Diyaa Jaye


JRT Mein Shuruaatee Salary Milegee = 17140 + 107% of 17140 + HRA+Other Perks =
17140+ 18340 + HRA+ Other Perks = 35480+ HRA + Other Perks = Lagbhag Rs 37000/- Aapko Prati Mahina Salary Milegee

Aise Hee 5400/- Grade Pay Mein Direct Entry Hone Se Aapka Pay Band = 15600-39100+GP 5400 Hota hai, Aur Starting Basic Pay = 15600+5400 = 21000 Hotee Hai.


Har Saal 3% Ki Dar Se Garuanteed Salar Badtee Hai, Aur Saal Mein 2 Baar Mehngai Bhatta Badtaa Hai


Ye internet par ek site se liya hai, Direct Entry Par Kis Grade Par Kitnee Salary se  Aapki Basic Pay Fix Hotee Hai-


Jitnee Basic Pay Hotee hai , Usmen 107% DA (Mehngai Bhatta Joda Jata Hai) + Transport Allowance with DA + HRA Miltaa hai

Mahilaon ko 2 saal kee Chutti Child Care Leave Apne Adhiktam 2 bacchon ke liye 18 Varsh tak ki Umra Tak Miltee hai. Is doraan Pooree Salary Miltee hai.

180 Din ka Matratv Avkaash hai, Puruson ko 15 Din ka Pitratv Avkash Milta hai. Aadi Aadi Tamam Sarkari Facility Miltee hain.


No comments:

Post a Comment

To All,
Please do not use abusive languages in Anger.
Write your comment Wisely, So that other Visitors/Readers can take it Seriously.
Thanks.