Wednesday, February 25, 2015

UPTET SARKARI NAUKRI News -

UPTET SARKARI NAUKRI   News  -


 साथियों ,

हमने कभी झूठे आश्वासन नहीं दिए हमें किसी चंदे से मतलब है

 हमने अपने पिछले  कई आर्टिकल में इस बात का उल्लेख किया था की इस भर्ती में धांधली के कोई प्रमाण तो नहीं मिले (किसी अभ्यर्थी के  टेट परीक्षा में धांधली करने के प्रमाण साबित होने की खबर नहीं आयी , ही कोई अभ्यर्थी दोषी पाया गया )
 यू पी टेट परीक्षा में अनियमितता थी ,
JISMEN GALAT PRASHNO PAR SABHEE KO BONUS MARKS MILE THE. YE BAAT HAMNE APNE PICHLE ARTICLES MEIN LIKHEE THEE.



AGAR BHRTEE TET MERIT PAR HOTEE HAI TO BONUS MARKS KA PRBHAV NA KE BARABAR RAHEGAA.

MERE KHYAAL SE SUPREME COURT NE INHEE BATON PAR GOR KARKE CUT-OFF HIGH RAKH KE BHRTEE KE AADESH DIYE.
 ****************
RAJASTHAN MEIN SIRF UN LOGON KO NIYUKTI MIL RAHEE HAI , JINKE TET MARKS 60% YA USSE OOPAR HAIN.

HAME KISEE TRP SE MATLAB NAHIN NA KISEE KO JHOOTHE SAPNE DIKHANE SE MATLAB.

MUJHE PICHLE JUDGEMENT LAG TO YAHEE RAHA THAA, LEKIN LAG RAHA THAA KI KAASH MEIN GALAT HO JAAUN AUR LOGON KA BHALA HO. LEKIN HALAT WAHEE NIKLE JISKAA DAR THAA.

AB AATE HAIN AAGE KEE BAAT PAR, SUPREME COURT QUALITY SE KISEE BHEE TARH KA SAMJHOTAA NAHIN KAREGEEE, AUR KISEEE BHEE DHANDHLEE VAALE KO BHRTEE MEIN SHAMIL NAHIN HONE DEGEE.

KHABRON KE ANUSAAR UP TET 2011 RESULT KE SANSODHAN SE POORV AUR BAAD KE RESULT MEIN JYADATR KE 4 MARKS TAK KA FARK HAI, KUCH KE MEIN 6 MARKS KAA. BAHUT KAM MEIN JYADA KA ANTAR HO SAKTA HAI. JINKE MARKS 6 SE JYADA BADE HAIN VE SANDEH KE GHERE MEIN HAIN.
RESULT MEIN SANSODHAN GALAT PRASHNO PAR BONUS MARKS DENE KEE VAJHE SE AAYA THAA, AUR AISE GALAT PRASHN 3-4 KE LAG HAG THE.KUCH LOGO KE MAALE MEIN KUCH AUR EXCEPTIONAL LEKIN SAHEE REASONS BHEE HO SAKTE HAIN.

KUCH LOGO NE TET KE PURANE RESULT KO BHEE ONLINE KARNE KEE MAANG KEE THEE, JIS SE SAHEE JANAKREE MIL SAKE.
YEH ACHHAA KADAM HAI.

DHANDHLEE ROKNE KE AUR BHEE UPAYE HAIN JAISE -
SABHEE DISTRICTS MEIN CHYNITON KEE POOREE JANKAREE DISTRICT NIC SITE PAR DAALEE JAAYE,
UNKE TET MARKS , B ED/BTC PASS KARNE KA YEAR. GRADUATION SUBJECTS KEE DETAILS, COLLEGE ETC KEE JANAKREE
AGAR ONLINE HOTEE HAI TO 72825 SHIKSHAK BHRTEEE KE VIGYAPAN KE BAAD DEGREE KARNE VAALE, AUR GER MANYTA PRAPT
UNIVERSITY / DEGREE VAALE BHEE BAHAR HO JAYENGE.

SUPREME COURT BHRTEE KE PADON KEE SANKHYA BADA NAHIN SAKTA LEKIN RTE ADHINIYAM KE TEHT YOGYA LOGO KEE BHRTEE KE LIYE RAH TO KHOL SAKTA HAI
COURT SIRF LIKHE HUE NIYAMO KE TEHT FESLE DETE HAIN, BAHUT HEE KAM CASES MEIN KUCH ALAG HAT KAR FESLE HOTE HAIN JO KI EXCETIONAL REASONS PAR AADHARIT HOTE HAIN.
ABHEE AAPNE TATKALEEN HIGH COURT KE NIRNAY DEKHE HONGE, JISMEN COURT DER SE PAHUNCHNE PAR KOEE RAHAT NAHIN MILEE. NYAY SIRF JAAGE HUE LOGO KO MILTAA HAI.
HAME APNEE TRP BADAANE SE KOEE MATLAB NAHIN, NA HEE KISEE KA NUKSAAN CHAHATE HAIN.
PAR KISEE KE SAATH ANYAYE BHEE NAHIN CHAHATE.
MERA TO MANNA HAI KI SARKAR APNEE ADHIK SE ADHIK SERVICES KO PPP (PUBLIC PRIVATE PARTNERSHIP) MODEL YA KOEE ACHHE MODEL PAR KARE. LOG MEHNAT KAREN TARAKKI KAREN.
HAR HAATH KO MEHNAT KE MUTABIK PAISA MILE.
AAJ KE SAMAY MEIN EK CONTRACT WORKER APNEE YONG AGE MEIN POORA JOR LAGA KAR KAAM KARTA HAI ( KAYEE SAARE YOUNG UNEMPLOYED YOUTH KO TO ROJGAAR BHEE NAHIN MILTAA, MILTA HAI TO SAMAY NIKAL JAATA HAI KUCH KAR GUJARNE KE LIYE).
WAHIN DUSREE TARAF PERMANENET GOVT EMPLOYEE JO KI RETIREMENT AGE PAR HOTA HAI, MOTEE PAGAAR LE KAR POOREE SARKAREE SUKH SUVIDHAYEN LE RAHA HOTA HAI.

IN CONTRACT WORKERS MEIN SHIKSHA MITRA BHEE AATE HAIN, INKE APNEE PARESHANEE PEEDA HAI. USKE LIYE IN LOGO KI SAMAJIK SURAKSHA KE LIYE BHEE KUCH HONA CHAHIYE.
(HAME DUSRE KEE AANKHON SE BHEE DEKHNA CHAHIYE KI AAKHIR USKEE KYA PARESHANEE HAI. SHIKSHA MEIN TO GUNVATTTA SE SAMJOTA NAHIN HONA CHAHIYE , LEKIN IS SANSAAR MEIN SABHEE KO JEEVAN YAPAN YOGYA SUVIDHAYEN BHEE MILNEE CHAHIYE. VIKALP TALAASHE JAANE CHAHIYE, KAISE MANDEY BADE USKE UPAY KIYE JAANE CHAHIYE
HAM YAHAN KISEE KE VIRODH MEIN NAHIN, BALKI YOUNG GENERATION KE HALATON KO BAYAN KAR RAHE HAIN.
SARKARI SHIKSHAK / KARMCHAREE VAASTAV MEIN SEWA PRADATA HAIN AUR UNKE CUSTOMER PADNE VAALE BACHHE / JANTA HAIN. AUR CUSTOMER IS JUST LIKE A GOD.
(HALANKI YAHAN TEACHER KEE SALARY/PAYMENT CONNECTION ULTA HO JAATA HAI, AUR SERVICE PROVIDER / TAKER KE BEECH FLOW OF MONEY KA SAMBANDH ALAG HO JAATA HAI, AUR EK SAMANY SOCH HAI KI PAGAAR DENE VAALA HEE MALIQ HAI. VAASTAV MEIN MALIQ DESH KI JANTA HAI, AUR SARKAR USKE BEHALF MEIN AAPSE KAAM LETEE HAI, AISE MEIN MERA MANNA HAI KI AAP APNE  CUSTOMERS YANEE PADNE VAALE BACHHON KO ACHHE SE ACHHEE SERVICE DEN. YAHEE SARKARI SHIKSHKON SE AASHAA HAI.





 UPTET  / टीईटी TET - Teacher EligibilityTest Updates /   Teacher Recruitment  / शिक्षक भर्ती SARKARI NAUKRI NEWS  
UP-TET 201172825 Teacher Recruitment,Teacher Eligibility Test (TET), 72825 teacher vacancy in up latest news join blog , UPTET , SARKARI NAUKRI NEWS, SARKARI NAUKRI
Read more: http://naukri-recruitment-result.blogspot.com
http://joinuptet.blogspot.com
UPTET 72825 Latest Breaking News Appointment / Joining Letter | Join UPTET Uptet | Uptet news | 72825  Primary Teacher Recruitment Uptet Latest News | 72825  Teacher Recruitment Uptet Breaking News | 72825  Primary Teacher Recruitment Uptet Fastest News | Uptet Result 2014 | Only4uptet | 72825  Teacher Recruitment  Uptet News Hindi | 72825  Teacher Recruitment  Uptet Merit cutoff/counseling Rank District-wise Final List / 4th Counseling Supreme Court Order Teacher Recruitment / UPTET 72825 Appointment Letter on 19 January 2015A

CTETTEACHER ELIGIBILITY TEST (TET)NCTERTEUPTETHTETJTET / Jharkhand TETOTET / Odisha TET  ,
Rajasthan TET /  RTET,  BETET / Bihar TET,   PSTET / Punjab State Teacher Eligibility TestWest Bengal TET / WBTETMPTET / Madhya Pradesh TETASSAM TET / ATET
UTET / Uttrakhand TET , GTET / Gujarat TET , TNTET / Tamilnadu TET APTET / Andhra Pradesh TET , CGTET / Chattisgarh TETHPTET / Himachal Pradesh TET
 

No comments:

Post a Comment

To All,
Please do not use abusive languages in Anger.
Write your comment Wisely, So that other Visitors/Readers can take it Seriously.
Thanks.