UPTET : RECRUITMENT OF 72825 TRAINE TEACHER (Analysis / Information Provided by Shyam Dev Mishra)
From: Shyam Dev Mishra <shyamdevmishra@gmail.com>
Date: 2012/8/10
Subject: Matter for Urgent Publication on Blog
To: "Muskan 24by7." <muskan24by7@gmail.com>
RECRUITMENT OF 72825 TRAINE TEACHER
AN ANALYSIS OF CURRENT SCENARIO AND CALL OF THE TIME
(Meeting Scheduled on 12th August 2012 at 2:00 PM at India Gate, New Delhi.)
Uttar pradesh me 72825 prashkshu prathmik adhyapakon ki chayan-niyukti prakriya par chal rahee adalatee rok, court ki karyavahi aur usme TET merit ke adhar par niyukti ke sawaal ko lekar aam abhyarthi aaj khud ko asmanjas ki sthiti me pa raha hai. Nyayalay dwara sarkar ko bhartee-sambandhi niyamon me parivartan ko haree jhandi diye jane kee bat maheeno se bharti-prakriya bahaal hone ka intezar kar rahe abhyarthiyon ko hatotsahit kar rahi hai.
Par TET-samarthak abhyarthiyon ko sarkar ke pratikool honey ke bhay se ummid chhodne ke bajay apnee kanuni majbuti, nyay-sangatta aur nyayalay ke anukool rukh ko dekhtey hue samajhna chahiye ki Court ke taja adesh ke bad itna to tay hai ki ab hum aakhir bharti-prakriya shuru hone ke kagaar par pahuch rahe hain. Aise me is mamley ke nimn binduon par mere vichar shayad apki shanka ka nivaran kar saken..
Mool prashn jo vigyapan ki vaidhanikta, yani iske adhikrit sanstha dwara jaree kiye jane ke bajay unki or se kisi any sanstha dwara jaree kiye jane, ko lekar tha, ab mahatvheen ho chuka hai aur ise court dwara ise matra ek takniki bhool mana gaya hai.
Dusra prashn BTC aur VBTC wale un abhyarthiyon dwara, jo na sirf 2 varsh ka prashikshan prapt kar chuke the aur jinhe prashikshan aur sewayojan ke liye chayan ke samay ek bar conselling ke jariye tatkaleen niyamon ke anusar janpad tak avantit kiye ja chuke hain, nyayalay se dobara prashikshan se chhoot mangne aur niyuktiyan vigyapan ke anusar vartman me prabhavee TET merit ke adhar par dobara banne wali jila-war merit-list ke aadhar par 6-maah ke prashikshan ke liye chayan taduprant nitukti kee vyavastha se khud ko alag kiye jane ki maang karne ka hai, taki unhe gair-jaruri prashikshan na karna pade. Sath hee ek takneeki samasya bhi yahan ayegi ki vigyapan me di gai vyavastha ke anusar prashngat prakriya me unko shamil kiye jane se purv me ek-bar prashikshan evam sewa-hetu chayan ke bawjud TET-merit me B.Ed. va itar yogyata wale abhyarthyon se pichhadne ki sthiti me bhi kis prakar unka purv me avantit jile me hi niyojan kiya ja sakea? Is mamley me sarkar ne ek halafname ke jariye unke liye alag se vgyapan nikal kar unhe niyojit karne ki bat swekar ki hai jo ki iska sahi samadhan hoga.
Teesra prashn media aur sarkar dwara bina kisi adhar ke TET me hui tathakathit dhandhli ka vidhwa-vilaap ka hai par ab tak mili suchnaon ke anusar abtak mamley ki janch me lagbhag 200 abhyarthiyon ko gadbadi karane ke sandeh me chihnit kiya gaya par unme se lagbhag 150 fail hain tatha baki 50 uttern abhyarthiyon ke bhi praptank lagbhag 60% hee hain. Hasyaspad hai ki ab log fail hone ke liye dhandhli karenge. Spasht hai ki yah mamla pareeksha me dhandhli ka nahi, ank badhhane ken am par kee gai thagi ka hai. Sath hee sarkaar dwara bhi pareeksha me nahi, pareeksha ke uprant hui tathakathit gadbadi ki bat kee ja rahee hai to isme doshi abhyarthee nahi, balki vibhageey adhikari hain, fir unki galtee ka khamiyaja abhyarthiyon par ladne se behtar vikalp punah mulyankan bhi ho sakta hai jab uttar-pustikayen sarkar ke sanrakshan me hi hain. Par is mamley me sarkar ke taja rookh se jahir hai ki wah bhi isme hui gadbadiyon ki itna gambheer nahi pa rahee ki paryapt sabooton ke abhav me matra shankaon ke aadhar par ise nirast karne ka nirnay le sake.
Yahan WRIT - A No. - 1337 of 2012 (Satya Pal Singh & Others vs. Union Of India & Others order dated 12.01.2012) mamley ka ullekh uchit hoga jisme nyayalay dwara vadee dwara TET ke ayojan par bina kisi thos aadhar par sasawal khade jane ko gambheerta se lete hue ise pareeksha-sanstha aur usme shamil-safal logo kee garima kahana batatey hue tagda jurmana lagaya gaya tha. Kya rajy-sarkaar dwara aaj TET ke upar uthaye ja rahe sawaal isi dayrey me nahi atey.
Adesh ka ansh apke liye prastut hai;
“he (petitioner) contended that the direction contained therein that it shall be ensured that the persons recruited as teachers posses the essential aptitude and ability to meet the challenges of teaching at the primary and upper primary level has not been observed in conducting the aforesaid examination and the examining body is guilty of unfair means and unsuitable selections have been made illegally. However, he could not show any thing specifically despite repeated query but in a generalized and vague manner said that all the persons who have passed the examination are neither qualified nor suitable candidates. This is clearly a derogatory remark not only against the examining body but also against lacs of people who participated in the examination and passed the same. The statement is made in a most careless and reckless manner which, in my view, clearly amounts to abuse of process of laws and, therefore, the writ petition must be dismissed with exemplary cost.”
Atah asha hai ki sarkar is tarah ke arop lagane ki himakat ab aur nahi karegi aur ab TET ke tathakathit dhandhli ke aadhar par nirast hone ka khatra nahi rah gaya hai.
Chautha aur sabse mahatvpurn pashn sarkaar ke mansha ka hai jiske antargat wah prakriya shuru hone ke bad chayan ke aadhar me parivartan ka nirnay le chuki hai. Yahan main na academic merit ka virodh karta hoon na TET merit ka andha samarthan karta hoon. Choonki sarkar dwara samay rahtey apnee shaktiyon ke samyak anuprayog dwara NCTE ke dishanirdeshon ke anusar avashyak niyam banakar vigyapan jaree kiya gaya jisme TET merit ke aadhar par chayan kee bat kahkar avedan amantrit kiye gaye the aur uske anusar abhyarthiyon ne avedan kar diye, aise me nyayik roop se prakriya shuru hone ke bad chayan ka aadhar badalna sambhav hee nahi hai. Yahan sarkar ko sarvshaktimaan maankar chup baithne ki bhool na Karen balki yah yaad rakhe ki satta ke mad me choor netaon ke sarkaron ke madandh aur atarkik faisle aksar nyayalay me muh ki khate hain aur is mamley me bhi aisa hee hona tay hai. Nyayalay ko bhi is baat ka purn abhas ho chukka hai ki sarkar apni satta aur adhikaron ka durupyog kartey hue is prakriya me manmani karne ke liye taiyar hai aur yahi karan hai ki mamley me turant sthaganadesh hatakar sarkar ko manmani karke kee chhot dene ke bajay mamneey nyayadheesh ne sarkar se apne pattey pure tareeke se nyayalay me hi kholne ko kaha hai taki girgit ki tarah pal-pal rang badal rahi sarkar nyayalay se chhoot miltey hi bahar jaker manmane nirnay na kare. Aise sthiti me yato bekusoor abhyarthiyon ko anyay sahna hoga ya fir court jana hoga. Aise me nyayalay me sarkar dwara puri tarah prakriya ke har bindu ke bare me apne nirnay batane se court me hi unki vaidhanikta aur nyaysangatta ka pareekshan ho jayega aur is mamley ka nyaysangat hal nikal sakega aur is bar shuru honey par bharti-prakriya me koi badha ane ki sambhavna nahi rahegi.
Kewal aur kewal purv-prakashit vigyapan ke aadhar par yani TET-merit ke aadhar par bhartee chahney walon ko dhayn dena chahiye ki unchi academik merit wale kai abhyarthi to ab sarkar ki matr academik merit ke aadhar par bhartee ki mansha bhanp kar kisi bhi aadhar par bhartee shuru bhar ho jane ke pakshdhar ban chuke hain taki auro ka bhale kuchh bhi ho par unko niyukti mil jaye. Par yaksh-prashn yani neetigat va nyaygat sawaal to yahi hai ki is sambandh me jaree vigyapan kee sharton ko darkinar kar kaise bhartee ki ja sakti hai aur ise kis prakaar uchit thahraya ja sakta hai? Aise sabhi abhyarthi, jinhe TET merit ke aadhar par chayan se hi naukri pane ka vishvas hai, unke liye yah samay ab ek aisee pareeksha ka hai, jahan sarkar to pratikool hai par kanuni paksh majbut hone se aur nyaypalika dwara sarkar se lagatar sawaal-jawaab kiye jane aur samaybadhh nirdesh diye jane ke rukh se jeet ki prabal sambhavna bhi dikh rahi hai. Aise me bina kisi any vikalp ke sirf aur sirf TET-merit ke adhar par chayan me apna kalyan chahney walon ko ab sarkaar ko sarvshaktiman mankar hatash baith jane ke bajay ekjut hoker puri takat se is ladaai ko ladne ki jarurat hai.
Puri asha hai ki nyayalay sarkar ko kuchh bhi anayapurn parivartan karne ki anumati nahi dega par yadi, jiski sambhavna atyant kam hai, nyayalay sarkar ke nirnay ko manyatad de bhi deta hai to abhyarthiyon ko is ladaai ko aagey ladne ke liye bhi taiyar rahna chahiye. Aise me Single bench ko pahla padaav hi samajhna chahiye aur iske nirnay koi antim ya atal nahi mana jana chahiye balki iske aadhar par sarkar dwara vigyapan ke aadhar par bharti ke alawa kuchh aur karne kee sthiti me nyayalay me jana aparihary hai. Aise me TET-merit se chayan ke pakshdhar abhyarthiyon ke liye sirf 2 marg hain,
1. Kanuni ladaai ke sursa-numa kharchon aur isme lagne wale samay-shram ko dhyan me rakhtey is jo abhyarthi khud ko is ladaai me akele khade hone me asamarth patey hai aur samoohik prayason ke samarthak hain, unhe is mamley me ab tak sakriy bhumika nibha rahe apne sathiyon ki pahal ka intezar karne ke bajay unse sampark karke na sirf unka manobal badhhana chahiye balki unhe avashyak aarthik sahyog bhi dena chahiye. Yah sunishchit karna avashyak hai ki kanuni paksh majbut hone k bad bhi kahi aarthik kathinai se pairvi me hui kami ki vajah se kahin ye ladaai hath se na nikal jaye. Abhyarthi chahen to svayam Allahabad jakar bhi nyayalay me sakriy rahe apne sathiyon se milkar vastu-sthiti ko samajh saktey hain aur tadanusar nirnay le saktey hain.
2. Jin abhyarthiyon ko samuhik prayason ki apeksha apne sansadhno aur samarthya tatha apne vyaktigat prayason par bharosa hai, unhe chahiye ki wo bhi kamar kas le agey ki ladai ke liye. Kal agar kinhi karno se samuhik prayas safal na hue ya paryapt prabhavee na rahe to aise abharthee kam se kam kam ladaai me bane to rahenge. Sath hi aisa karke na wo sirf apni ladaai apne tareekey se lad pane ko swatantra hongey balki apni nazar me bhi khud ko sahi thahra payenge.
Par is ladaai me ab chupchaap hath par hath dhare baithe rahne ka samay chalaa gaya hai.
6 august ki bahas me apna paksh majbuti se rakhne ki koshish ke antargat kuchh sathiyon dwara varishth adhivakta Ashok Khare ke sath prakhyat adhivakta Shashikant ji ko bhi vigyapan ke anusar TET merit se chayan ke paksh me prabhavi bahas aur damdar daleel deneke liye khadaa kiya gaya. Aise prayas na sirf srahneey hain balki is mamley me nirnayak bhumika bhi nibha saktey hai. Yahan baki abhyarthi, jo vigyapan ke adhar par bharti ke paksh me nirnay ki baat joh rahe hai par pratyaksh roop se kanuni ladaai me shamil nahi hai, ko lagatar chal rahee kanuni ladaai aur samay-samay par is tarah ke atirikt prayason ke arthik pahlu, yani inpar anewale kharchon ki or bhi dhyan dene aur agey badhkar apna vyaktigat sahyog dene ki jarurat hai.
Is sambandh me Bhai Devendra, Jo delhi ke honey ke bawjud Allahabad me sakriy rahtey hai aur Delhi me hue pradarshano me aham bhumika nibhatey rahe hai, dwara mujhe bataya gaya hai ki abhi tak Pradesh ke kai jilo se arthik sahyog mila hai aur anewale kharchon kee purti ke liye ve sabhi apne star se prayas kar rahe hain. Par unke prayason ka samman kartey hue ab HAR TET-ABHYARTHI, JO IS PRAKRIYA SE NIYUKTI PANE KEE ASHA RAKHTA HAI, ko agey badhkar apna sahyog karne ki avashyakya hai. Tamam sathi samay-samay par is andolan me har sambhav sahyog dene ka ashwasan dete rahe hai par ab use kary-roop dene ka samay aa gaya hai. Is sandarbh me DELHI-NCR ke sathiyon se anurodh hai ki kripya isi 12th August ko aprahn 2:00 baje India gate, New Delhi me ayojiy baithak me avashya aye, mamley ko, apni sthiti ko lekar yadi koi jigyasa hai, uska nirakaran Karen aur agar apko sahi lage to wahi is ladai me yathasambhav arthik sahyog pradaan kar sunishchit kare ki lagbhag jeeti hui kanuni ladaai kewal arthik tangi ke karan na haari jaye...
Apne vivek ka istemal Karen, apna hit dekhen aur wahi Karen jo apko apne hit me uchit lage.
Apka sathi.
SHYAM DEV MISHRA
Mumbai
09222172977
***********************************
Above content is provided by Shyam Dev Mishra ji (Blog Visitor and attached with UPTET issues),
Other Blog Visitors can also express their views and to share information on Blog.