Wednesday, March 26, 2014

UPTET : 72825 शिक्षकों की भर्ती का रास्ता साफ़

UPTET : 72825  शिक्षकों की भर्ती का रास्ता साफ़




News of Hindustan Paper (26.3.14) -


 **********************
Bhrtee ko Lekar Kuch Adchane Batai Gayee Hai,

Lekin Aajkal Software/ Internel ke Jammane Mein Yeh Utnee Mushkil Bhee Nahin Hai.

Software mein Candidates kee Details, District Choice, Male/Female, Category (GEN, SC, OBC, ST, Shiksha Mitra etc.) , TET Marks, Education Qual etc. bharwaa kar. Turant cut-off nikalee jaa saktee hai.

Aur candidate kee choice lock hone ke baad uske other chance band kar diye jaayen.

Uske Baad Candidate ke Documents Verification ke liye Bol Diyaa Jaaye.

Ek Kaam Kiyaa Jaa Saktaa Hai ki Candidates ne jin districts mein apply kiyaa hai, Unhee Mein Online Apply Karne ko Bolaa Jaye.

Online Apply Karne Vaalon ke liye Rs. 5/10- Online processing fee le lee jaye. Jis Se PH candidates ke Naam se fake form na bhare jaa saken. Jaroorat ho to documents verification ke TIME par inkee Fee Rs 5/10 reimburse kar diye jaayen. Iss se Inke Aavedan Nishulk Ho Jayenge.

In candidates se pehle apply kiye gaye form kee Speed post/ registry slip , Draft kee photo copy verify kee jaa saktee hai.

Draft fee jama na hone par - Jaroorat ho to TET certificate ke Saaath Rs. 500/- ka naya draft liya jaa saktaa hai Ya fir Online aavedan ke saath yeh fees lee ja saktee hai.

Aakhir kaar apply to UPTET 2011 vaale hee kar paayenge

***********
 Sawaal number 3 ka javaab - Jin Candidates ne old advt mein apply kiyaa thaa aur unki age limit ki eligibiloity thee, ve hee old advt se bhrtee ke liye eligible hain. (Ye koee bada badaa sawwaal nahin hai)
*********
Sawaal Number 5 ka javaab -
TET ko patrta pariksha maan kar jo bhrtee kee gayee hain , unka feslaa high court kee agamee sunvaee mein ho jayegaa.
Weightage kaee prkaar se dee jaa saktee hai, Jismen Jyada TET marks vaale ko seniority, TET marks samaan hone par jyada umar vaale ko seniority etc. dee jaa saktee hai.
 *********
Sawaal number 6 ka javaab -
Sabhee Bhrteeyan TET merit se nahin hongee, Na Hee Ho saktee hain kyunki UPTET exam kaee baat ho chuke hain.
Ye jaroor ho saktaa hai ki TET Marks ko Selection Mein Weightage (eg 30-50%) Diyaa Jaaye.

No comments:

Post a Comment

To All,
Please do not use abusive languages in Anger.
Write your comment Wisely, So that other Visitors/Readers can take it Seriously.
Thanks.