Saturday, July 14, 2012

Message by Mr. Shyam Dev Mishra


Message by Mr. Shyam Dev Mishra 

Blog visitors , I am sharing messages received on my email -

Bahut se candidate TET kee anischitta se pareshan the, Aur unhone ham sabhee ke leeye kafee pryas leeye.
Rajesh jee , ne HC kee news etc. aur sabhee tarh se TET ko bachane ke liye important information share kee.
Pata nahi kya hua lekin, agar unko kisee tarh kee madad / help kee jaroorat ho to samvedhan ke dayre mein jaroor madad karen.

---------- Forwarded message ----------
From: shyamdevmishra@gmail.com <shyamdevmishra@gmail.com>
Date: 2012/7/14
Subject: URGENT APPEAL TO ALL TET-IANS IN LUCKNOW
To: "muskan24by7@gmail.com" <muskan24by7@gmail.com>

Priy sathiyon,
GADDARON-AFWAHON-CHALBAZON-GUTBAZON SE SAWDHAN!

TET aur Bhartee-bahali ke liye Lucknow me ho raha andolan aaj ek aise nazuk mod par hai, jahan sabse jyada ekjut aur sangthit rahney ki jarurat hai. Aise me, vyaktigat aur chhoti-chhoti baton ko mudda banaker gutbazee karne se sirf aapas me foot padegi aur vyaktigat roop se chhavi chamkane ke prayaas andolan ko kamjor aur antatah khatm kar denge. Aaj Rajesh Pratap Singh sahit 11 sathiyon (jinse meri kabhi face-to-face bat tak nahi hui) ki rihaai ke liye lakhnow me ekatra sathiyon dwara DABAAV BANANE KE LIYE SAMOOHIK GIRAFTAREE DENE KEE RANNEETI me kuchh aise log badha utpann karke wahan upasthit logon me foot paida kar rahe hain jinki khud ki vishwasneeyata par court case ko laparwah tareeke se lene ke aur anyanya sawaal uth chuke hain jinka koi jawaab aaj tak wo khud bhi nahee de paye hain

Aaj agar inhe chhudane me kisi bhi vajah se agar baki sathiyon ne kuchh logo dwara netagiri aur rajneeti karne kee sajishon ke karan parhej kiya to yaad rakhiyega, andolan me badhchadhkar bhag lene walon ka manobal tut jayega aur in logo ke sath kiya gaya aapka yah bartaav inke sath vishvasghat hoga. Kripya aap sab ek rahen, ek dusrey ki galtiyan na nikalen, sahi uddeshya ki prapti ke liye agar kisi ne galti bhi kar dee to usko isliye kshama karen ki uski neeyat to sahee thee.

Aaj agar aapke sathiyon ko jaraa bhi shanka ho gai ki agar wo is tarah fans gaye to unke baki sathee unhe chhudane ke har sambhav prayaas karne ke bajay chhudra vyaktigat swarthon aur rajnaitik rotiyan sekenge to yaad rakhiyega, aandolan me aane ke liye neta to rahenge par aam abhyarthee aapke sath nahi judega. Ek-dusrey ke liye har haal me, har keemat par sath khade rahne ki bhavna hi kisi bheed ko fauz banatee hai, is liye is visham samay me aise tatvon kee rajneeti ka shikar na bane, andolan ko barbad na honey den aur ekjut hoker apne sathyon ki rihaai ke liye jee-jaan se, shantipurn, vidhi-sammat, loktantrik aur ahinsak tareekey se har sambhav prayaas kare.... Agar andolan bachana hai!

Aapka sathi
SHYAM DEV MISHRA
MUMBAI
******************************

Another person email me : -



---------- Forwarded message ----------
From: Brijesh yadav <brijeshyadavmsc2007@rediffmail.com>
Date: 2012/7/14
Subject: news channels ko mail
To: muskan24by7@gmail.com


gd.eve.mam,
mam,
qu na uptet ki samasya par news channels se sikshavido se ek paricharcha ka ayojan karne ka request email ke madhyam se kiya jaye.
shayad ap esa kar chuke ho phle hi.
mere mere mind me aj ye bat ayi,me zee news or ibn par aj mail kr chuka hu.or ke email id mere pas na thi.
ap qa kahengi is vichar pe?

*****************************
One more email to me : -

---------- अग्रेषित संदेश ----------
प्रेषक: rahul singh <rahul.singh.fzd@gmail.com>
दिनांक: 14 जुलाई 2012 3:41 pm
विषय: Help of TETains
प्रति: Muskan24by7@gmail.com


Muskan je plz post this msz देश सबसे बड़े छात्र संगठन अखिलभारतीय
विद्यार्थी परिषद ने भी टीईटी उत्तीर्ण आन्दोलनरत छात्रोँ का समर्थन देने
की घोषणा आज लखनऊ मेँ कर दी है । आप सभी अभ्यर्थी किसी भी प्रकार की
सहायता के लिए आभाविप के प्रान्तीय कार्यालय पर विभाग संगठन
मन्त्री,अभाविप ,श्री मिथिलेश जी से अभाविप कार्यालय पता-5, नवीन
मार्केट,कैसरबाग लखनऊ मेँ किसी भी समय सम्पर्क कर सकते है ।(अभाविप= अखिल
भारतीय विद्यार्थी परिषद)


With Regards
Rahul Singh

2 comments:

  1. We have to be united , becouse without union we can win , so dear friends be united against currution ... we will sure wine this fight .......

    thanks
    uday

    ReplyDelete
  2. लखनऊ।। उत्तर प्रदेश के मुख्यमंत्री अखिलेश यादव ने शनिवार को जनता को भरोसा दिलाते हुए कहा कि भले ही कुछ मौकों पर सरकार को अपना फैसला वापस लेना पड़ा हो, लेकिन भविष्य में वक्त आने पर जनहित से जुड़े कई बड़े फैसले लिए जाएंगे।

    लखनऊ स्थित जयनरायण इंटर कॉलेज के सभागार में आयोजित एक कार्यक्रम को संबोधित करते हुए मुख्यमंत्री ने ये बातें कहीं। इस दौरान अखिलेश ने यूपी माध्यमिक शिक्षा परिषद द्वारा प्रकाशित पुस्तक 'हम और हमारा स्वास्थ्य' का विमोचन किया।

    मुख्यमंत्री ने कहा कि विधायक क्षेत्र विकास निधि से गाड़ी खरीदने का फैसला वापस लेना पड़ा, लेकिन समय आने पर जनहित से जुडे़ कई बड़े फैसले सरकार लेगी। बिजली आपूर्ति पर उन्होंने घोषणा की कि सरकार को बहुमत दिलाने में मुस्लिम समुदाय का बहुत बड़ा योगदान रहा है, इसलिए आगामी रमजान के महीने में पर्याप्त बिजली मुहैया कराई जाएगी।

    अखिलेश ने कहा कि सरकार सच्चर कमिटी और रंगनाथ मिश्र कमिटी की सिफारिशें लागू करने पर विचार कर रही है और इस बारे में जल्द ही कोई फैसला लिया जाएगा। मुख्यमंत्री ने कहा कि राज्य के विकास के लिए कई योजनाओं की रूपरेखा को अंतिम रूप देकर जल्द ही उन पर काम शुरू किया जाएगा।

    नगरों में नालियों, सड़कों, अन्य आधारभूत संसाधनों और यातायात व्यवस्था की चर्चा करते हुए उन्होंने कहा कि वर्तमान में ये व्यवस्थाएं सही नहीं हैं, इसलिए नगरीय व्यवस्था को सुधारने के लिए सरकार इस दिशा में और काम करेगी।
    इस स्टोरी पर अपनी राय दें। राय देने के लिए यहां क्लिक करें। पल-पल की खबर जानने के लिए हमें Facebook पर लाइक और Twitter पर फोलो करें।
    इस आर्टिकल को फेसबुक पर शेयर करें।
    इस आर्टिकल को ट्वीट करें।

    ReplyDelete

To All,
Please do not use abusive languages in Anger.
Write your comment Wisely, So that other Visitors/Readers can take it Seriously.
Thanks.